|

September 11, 2014

Hindu ya muslim ke ahsaasaat ko mat chhediye Apni kursi ke liye jazbaat ko mat chhediye: Adam Gondvi (Ramanath Singh) 1947-2011

हिंदू या मुस्लिम के अहसासात को मत छेड़िए
अपनी कुरसी के लिए जज्‍बात को मत छेड़िए

हममें कोई हूण, कोई शक, कोई मंगोल है
दफ़्न है जो बात, अब उस बात को मत छेड़िए

ग़लतियाँ बाबर की थी; जुम्‍मन का घर फिर क्‍यों जले
ऐसे नाज़ुक वक़्त में हालात को मत छेड़िए

हैं कहाँ हिटलर, हलाकू, जार या चंगेज़ ख़ाँ
मिट गए सब, क़ौम की औक़ात को मत छेड़िए

छेड़िए इक जंग, मिल-जुल कर गरीबी के खिलाफ़
दोस्त मेरे मजहबी नग़मात को मत छेड़िए

अदम गोंडवी (रामनाथ सिंह) 1947-2011

Hindu ya muslim ke ahsaasaat ko mat chhediye
Apni kursi ke liye jazbaat ko mat chhediye

Hum me koi hoon, koi shak, koi mangol hai
Dafn hai jo baat, ab us baat ko mat chhediye

Galtiyaan Babar ki thi, Jumman ka ghar phir kyon jale
Aise naazuk waqt mein haalaat ko mat cheediye

Hai kahan Hitler, Halaakoo, Zaar ya Chngez khaan
Mit gaye sab, qaum ki auqaat ko mat chhediye

Chhediye ik jang, mil-jul kar gareebi ke khilaaf
Dost, mere mazhabi nagmaat ko mat chhediye

Adam Gondvi (Ramanath Singh) 1947-2011

Translation:
Be it Muslim or Hindu, don’t tamper with feelings,
For the sake of your ‘chair’ don’t tamper with emotions

Babur made the mistakes, why then did the Jumman’s house burn?
In such a delicate time, don’t tamper with the situation.

Innumerable chairs in this country rest on corpses
This is that truth which every liar can testify to

Destruction of the garden is not inexplicable,
Some gardeners are friends of lightening and storms....